Thursday, July 02, 2009

!!Kanha!!

E kanha yeh to bata tera rang kyun kaala?
E kanha yeh to bata tera rang kyun kaala?

Main raat ko kyun paida huan
Meri ungli ka rang kaala
isi liye main kaala
E kanha yeh to bata tera rang kyun kaala...?

Maine kaale naag pe naacha
Maine kaale naag ko haraya
saare saapon ka rang kaal
isi liye main kaala
E kanha yeh to bata tera rang kyun kaala...?

mujhe gopiyoon ne boolayan
aur khoob maakhan khilaaya
gopiyoon ka dil phir bhi kaala
isiliye main kaala
E kanha yeh to bata tera rang kyun kaala..?

maine kaali gaaye ka doodh piya
main kaali maati mein khela
isiliye main kaala
E kanha yeh to bata tera rang kyun kaala..?


saawan main bijli chamake
aur baadal aasman gher leve
badaloon ka rang kaala
isiliye main kaala
E kanha yeh to bata tera rang kyun kaala..?

saakhiyaan ne mujhko bulaya
mujhe chaar aur se ghera
unki ankhiyon ke kajre ka rang kaala
isi liye main kaala
E kanha yeh to bata tera rang kyun kaala..?

Tera rang ho chaahe kaala
tu saare jag se niraala


---------------------------------------------
A folk song by a rajasthani group on 9:33pm virar local..
Heard it on train from borivali to bhayander.... memorized it!!

No comments: